Paroles Justaju de Anandmurti Gurumaa

Anandmurti Gurumaa
  • 0.0Vous n'aimez pas les paroles de Anandmurti Gurumaaloading
  • Note 0.0/5 basée sur 0 avis.
  • Artiste: Anandmurti Gurumaa40818
  • Chanson: Justaju
  • Langue:

Les chansons similaires

Kaun Hoon Main de Anandmurti Gurumaa

Ek dhaga hai dil se hothon tak, jahan jeevan ka rehasya buna hai shabda todte hai dhage ko par maun mein, rehasya bolte hain Swapna mein mera priyatam aaya mere tan mein khojta raha, prem ki awastha...

Ishq Ka Khanjar de Anandmurti Gurumaa

Main tumhe apni kahani kahene jaa raha tha Par dard kee lahroo main meri aawaz doob gaye Maine prayas kiya shabd kahene kaa Par mere vichar Najuk ho sheshe kee tarah toot gaye Badaa jahaz bhi doob...

Main Hun Pyar Ka Musafir de Lucky Ali

Main Hoon Pyaar Ka Musafir, Dil Khush Hai Aaj Mera,Jahan Mile Mohabbat Wahin Mera Basera,Mujhko Mile Safar Mein Kuchh Dhoop Kuchh Sawera,Ye Arzoo Hain Paoo Kuchh Chhav Kuchh Sawera,Manzile Meri Door...

Iltaja de Anandmurti Gurumaa

Tum mai jo prem naa mehsus kar sake Sote raho Tum mai jo prem ke peeda Naa mehsus kar sake Herdiya mai kabhi prem jawar naa uthhe Sote raho Jo samagam ko tadapte naa ho Jo lagataar puchate naa rahtey...

Tu Meri Jaan Hai de Kailasa

ni main shagun manaava ni main deva duwava ni main shagun manaava ni main deva duwava aa main kamlee naam dhadava aa main kamlee naam dhadava par ik koi ratan lagaava tu meri jaan hai tu mera armaan hai tu...

Textes et Paroles de Justaju



Priyatam tum hi meri mukti ho
mere saathi, meri sharan, mere marg-darshak
par tum hi ho
jo todte ho dil mera
tum mere taaranhaar ho, meri aatma
vijayi bhi tum, paraajit bhi tum
kholo mere hridai ko
aur saaf karo ise
sabhi rehasyon se
Tum ho kripa prakash mein lipte hue
daya bhi, krodh bhi
ek boond bhi, aur mahasagar bhi
kab tak tum tadpaoge,
mere surya, meri asha ki dhadhakti kiran
mujhe pyasa na marne do
ki tum hi ho mere jal aur pyala bhi
tum hi ho meri dawaa aur dard bhi
Mukta karo is deh ke jaal se
aur rakh lo, mera dil apne paas hi
Woh vaapas aa gaya hai
woh ek jo, kabhi gair-haazar nahin tha
jal kab lehar se alag hua
itra ka saar, jiski ham hain khushboo
kya itra aur khusboo, kabhi juda hue
Kabhi asha mat chodo,
jab priyatam tumhein door kare
agar veh dwaar band kare
mat jaao, dherya dharo, aur intzaar karo
yeh tumhara dherya
aur sankalpa hi hai
jo use vaapas bulayega
agar veh tumhare saare marg band kare
pakka jaano, veh tumhe gupta marg dikhayega
doosrohn se jo ho agyaat
Utho, or parikrama karo poore satguru ki
kyo chipak rahe ho dharti se
Ek bheege phool ki tarhan,
ashirwaad kriya mein hai
Agar yeh main, main nahi hai
to kaun hoon mein
agar yeh 'main' nahi bolta hai,
to kaun bolta hai
Agar yeh 'main' sirf libaas hai,
to main kisko dhak rahaa hoon

(Thanks to namrata for these lyrics)

N'hésitez pas à faire une recherche de paroles d'une chanson dont vous ne connaissez qu'un morceau de texte avec notre moteur de paroles et chansons