Paroles Ishq Ka Khanjar de Anandmurti Gurumaa
Les chansons similaires
Kaun Hoon Main de Anandmurti Gurumaa
Ek dhaga hai dil se hothon tak, jahan jeevan ka rehasya buna hai shabda todte hai dhage ko par maun mein, rehasya bolte hain Swapna mein mera priyatam aaya mere tan mein khojta raha, prem ki awastha...
Iltaja de Anandmurti Gurumaa
Tum mai jo prem naa mehsus kar sake Sote raho Tum mai jo prem ke peeda Naa mehsus kar sake Herdiya mai kabhi prem jawar naa uthhe Sote raho Jo samagam ko tadapte naa ho Jo lagataar puchate naa rahtey...
Justaju de Anandmurti Gurumaa
Priyatam tum hi meri mukti ho mere saathi, meri sharan, mere marg-darshak par tum hi ho jo todte ho dil mera tum mere taaranhaar ho, meri aatma vijayi bhi tum, paraajit bhi tum kholo mere hridai...
Taro Main Chandra Saman Ho de Anandmurti Gurumaa
Taro main Chandra saman ho Gurudev tumhari jai howe Hum sab ke jeevan praan ho Gurudev tumhari jai howe Muddat see thee talaash mujhe Guru mil gaye aap se aap mujhe Sewa mein laga lo nath mujhe...
Kya Mausam Hai de Lucky Ali
Kya Mausam Hai Phoolon Kaliyon Mein Gul Hain,Neele Aasman Ke O Panchi Ley Saath Mujhe,Is Jeevan Mein, Mushkil Aati Jaati Hai,Pal Do Pal Ke Liye, Hans Key Tu Jeele Yaar Mere,Prem Ki Boli Bolo Dil Se Naata...
Textes et Paroles de Ishq Ka Khanjar
Main tumhe apni kahani kahene jaa raha tha
Par dard kee lahroo main meri aawaz doob gaye
Maine prayas kiya shabd kahene kaa
Par mere vichar
Najuk ho sheshe kee tarah toot gaye
Badaa jahaz bhi doob sakta hai
Prem ke sagar mein uthate bawander se
Meri kamjor se kishtee ko to chodo
Jo toot kar tukdo mai badal gayee aur
Mujhe choda sirf
Ek lakdi ke tukde ke sahare
Main nanha shaktiheen, uthhata swarg kee aur
Prem ki ek laher se aur
Girata dusari se
Mujhe yeh bhi nahi pataa
Ki main hu bhi ki nahi
Jab sochta hu ki main hu
Main swayam ko be-arth dikhta hu
Jab sochta hu ki main nahi hu
To apnee kimat pataa hu
Mere vechaaro ki taraha
Kabhi marta kabhi uthata hu har din
To main punarjanam par shanka kaise karu
Thak gaya hu jag mein
Prem ki talash karte hue
Antatah kar diya samarpan prem kee vadee mein
Aur ho gaya aazad!
Maro, maro is prem mein
Aur uthho atmaa mein
Maro, maro aur kato ahaim kee rassi
Jo tumhe Kaid mein rakhtee hai
Hatoda lekar chalo dewar ke pas
Tod kar raah banaoo baahar kee
Maro, maro us khubsurat badshah ke aage
Ki tum bhi shaktishali ho sako
Maro, maro aur utho is badal mein se
Tum chamkoge sundertam chand kee tarah
Maun raho, maun raho
Kee maun chinha hai mrityu kaa
Aur tumhare maun se
Jeevan shor karega shehnai se bhi Jyada
Aao mere Satguru
Aao mat door jao mujh se
Aao mere dhokhebaj chand
Dekho is tadapte taraste premi ko
Aao mere sharabi shahanshah
Tum mera jeevan ho
Meri akal, mera sab kuch ho
Meri kali raato ke chamkte chand bano
Main pyasa ho teri roshani ka
Mere hathoo ka karo upyog
Dekho meri aankho se
Suno mere kano se
Tum atma ho her jeevit prani ke
Aao, Aao naachte huay surya ki roshni Ki tarah
Aur dur karo parchaiyoo ko
Tum naye jagat ke dhwaj ho
Aur man hai tumhare charno mai
Lot kar aao mere prem
Mera tuta hridaya
Aur prem peeda ko sah na sakega
Aur vayade nahi
Maine bahaut raate gujar dee neend ke bagair
Mere maun dukh ki, maire thaki akal kee
Aao mare khazane, mare jewan pran
Aao aur mare jakhmo ko bharoo
Aur bano dawaa
Shabd bahut huwaye
Aao ab bina ek shabad kahe
(Thanks to prashant for these lyrics)
-
- Nouvelles paroles :
- Le lit sauvage - Quand vint la grâce - Vive les tamalous - Après les Drapeaux - L'age des possibles - DON'T STOP JAMMIN'
-
- Nouveaux artistes :
- Sébastien PERRIN - Dominique Fidanza - BIGA*RANX - Albert Babin - Guylaine et Celine Royer - Caroline Levasseur
-
- Meilleur classement :
- Comme un boomerang - La nuit je mens - Fais dodo, Colas mon p'tit frère - Céline - La montagne - You Know Who You Are
-
- Retrouvez-nous sur Facebook :
- Autres paroles de Anandmurti Gurumaa :
- Hum Mast Rehate Hain
- Jagat Guru Baba
- Aaj Shoonya Hai
- Iltaja
- Prabhuji Moorie Binati Sunoo
- Ya Allah Tere Qurban
- Guru Nanak Jin Sunya Pekhya
- Nanak Aaya
- Ho Rahi Hai Teri Jai-jai Kaar
- Diya Jale Agam Ka
- Badal Barsa Premka
- Nee Main Janaa Sai De Naal
- Sukh Aate Hain Dukh Aate Hain
- Farsh Se Lekar Arsh Tak
- Guru Archanaa
- Voir tous les textes et paroles de Anandmurti Gurumaa.